Saturday, 27 October 2012

The G-121 ka dhamaka!!

School life ho gayi khatam, pata hi na chala,
saare dost kahan chale gaye, sabka contact no. hi badal gaya;
banaye naye dost engineering ki field me humne,
yaad rahenge wo din jab jaate the hum ek saath ghumne;
karte the bahut masti, udaate the ek doosre ki khilli,
kya khana hai jaldi batao, geera glass aur ho gayi patloon gili !
muvi dekhne chalen? 'kamsin kali lagi hai!' ,
anjal bola: nahi bhai mujhe sardi lagi hai :( ;
sardi se muvi ka kya connection? kiya sanchay ne raise question..,
samjha karo bhai, sardi k karan hogaye hain patni k saare exit points me loose connection! ;)
gana chalao yaar , nakra ne ki farmaaish,
hindi gana chalata hun, sanchay bola, puri karta hun teri khuwaish;
chal sanchay, ho jaaye ek cricket ka game,
dhat!, GRE padhna hai, nahi hai time mere pass for ur match, wo v lame;
bhook lagi, kuch kholte hain na yaar, bola nakra,
chal patni khila de aaj tu masale wala khakra;
chodi kya tune?, puchta sanchay mujhse..,
mmhmmmm!, spray kar jaldi patni, kahta saale kya dushmani hai humse?! ;
aaj tu tala khol bolta patni mujhse,
Oo, yaar jor ki susu aayi, mai karke aaya jaldi se..;
aise the hamare din, yaad rakhunga mai yaaron,
saal me ek get-together rakhenge, in london, paris or morroco.