Thursday 4 July 2013

Thank You ...

kabhi unka pyaar se khana khilana,
kabhi unka daant kar thappad maarna;
kabhi unka muskura kar gale lagana,
kabhi unka naraz hokar baat na karna;
kabhi unka subah-subah uth kar school chodne aana,
kabhi unka late night film dikhane le jaana;
kabhi unka neend na aane par thap-thapa kar lori sunana,
kabhi unka mere liye saari duniya se lad jana;
kabhi unka yeh kahna k 'tu tension mat le, mai hun na',
kabhi unka saari raat jag kar mera khayal rakhna;
kabhi unka mujhe uthane k liye khud jaldi uth jana,
kabhi unka zabardasti 'bas yeh wala last' kehkar khana khilana;
kabhi unka exam me kam no. aane par v gussa na hona,
toh kabhi unka station chodne aana aur apne aansuon ko aankhon me hi dabaye rakhna...

bachpan se lekar aaj tak mujhe duniya ki har khushi dena, mummy-papa hi hain jinhone sikhaya hai mujhe jina..
Sabko samajhna chahiye yeh, k nihswarth bhao se koi nahi karta kisi k liye koi kaam, bahut kam hote hain aise log jo dil se sochte hain tumhare liye, us list me sabse upar hai tumhare mummy-papa ka naam.. _/\_

Hope will make you proud one day :-)

No comments:

Post a Comment